Wednesday, July 18, 2018

Linkedin par Account kaise Banate hai Puri jankari hindi me

Linkedin par Account kaise Banate hai Puri jankari hindi me

Hello Dosto Namaskar Aaj Ke Ish Article me mai apko bataunga ki Linkedin par Business Account kaise banate hai(How to create Business Account on Linkedin),Linkedin ek Social Site hai Jisko Hum Professional Business Social Site bhi keh Sakte hai,Iska Use Jyadatar Job Search Karne ke liye kiya jata hai.Bahut si MNC Companies bhi Linkedin se Connect hoti hai.Joki Time to Time Apni Companies ki Requrement ke According Linkedin par Candidates Search karti Rehti hai.Aur Agar Koi Candidate Inki Requirement ko Complete karta hai to Yeh Companies Unko Hire Kar Leti hai.Linkedin Ka Use Bahut Teji se Increase Hone Laga hai.Agar Aap Bhi Koi Online or Offline Business Run kar Rahe ho to Aap Bhi Ish Professional Social Site ka Use kar Sakte hai,Agar Aap Koi Student ho Aur Job Search karna Chahte ho Tab bhi Aap Ish Site ka Use kar Sakte ho Par Aapko Apni Profile Complete karni padegi Taki Companies Requirements ke According Apki Profile Select ho sake.Dosto Aaj Ke Ish Article me Mai Apko Linkedin ki Full Information Dunga.

Linkedin Kya Hai

Linkedin Ek Professional Business Social Site hai Joki 5 May 2003 ko Launch Hui thi,Allen blue,Konstantin Guericke,Reid Hoffman,Eric ly,Jean-luc vaillant Ish Site ke Founder hai,Hum Ish Site ko Puri Tarah Business Site nahi Bol Sakte,Ye Site Un Logo ke liye bhi Helpfull hai Jo Job Search Karna Chahte hai.


Type OfLinkedin par Account kaise Banate hai Puri jankari hindi me Site-Social Networking Site


Founder-28 December 2002Launch-5 May 2003 Founders-Allen blue,Konstantin Guericke,Reid Hoffman,Eric ly,Jean-luc vaillant Ish

Read-GOOGLE ADSENSE ME CTR INCREASE KAISE KARERead-FACEBOOK PROFILE NAME HIDE KAISE KAREY?-INVISIBLE FB NAMERead-BLOGGER(BLOGSPOT) BLOG PAR GOOGLE ADSENSE APPLY KARNE SE PAHLE KAREY YE TAYYARI


Linkedin Free hai Kya


Dosto Linkedin Free hai Lekin Agar Aap Apni Profile ko Promote karna Chahte ho To Aapko Kuch Pay karna Hoga,Agar Aap Kuch Pay nahi karna chahte To Aap Bina Dare Ish Site ka Use kar Sakte ho.

Read-HOW TO CHECK BLOG'S BACKLINKS ONLINE IN A CLICK


Linkedin ke kya kya fayde hai

Linkedin ke Bahut Fayde hai,Ish Professional Social Site Account bante hi Aapki Online Duniya me Reputaion Ban Jayegi Agar Ish Professional Site par Faydo ki Baat karey to Ish Site ko Use karne ke Fayde bhi bahut hai.


(i)Aap Ish Site par Apne Business ko Promote kar sakte ho.

(ii)Agar Aap Ek Student hai Aur Aap Online Job Search karna Chahte ho to bhi Yeh Site Apke Liye Important Saabit Ho sakti hai

(iii)Aap Ish Site par Apne Brand/Product ko Promote kar Sakte ho.

(iv)Agar Apka Blog hai to Aap Apne Blog ko bhi Ish Site par Promote kar Sakte ho

(v)Agar Aap Youtube Use karte ho to Aap Apne Youtube Channel Ki Videos ko Linkedin par Share kar Sakte ho

Iske Alava Aur bhi Bahut Fayde hai Linkedin Account Use karne ke,Jitne Bhi Professional Businessman,Blogger,Youtubers hai Sabhi Ish Social Site ka Use karte hai Isliye Mai Aapko bhi Recommand karunga ki Aap Bhi Ish Social Networking Site ka Use karey

Linkedin Par Account Kaise Banaye


To Chalo Dosto Ab mai Aapko Batata hu ki Akhir Ish Professional Social Site par Aap Account kaise bana sakte ho,Maine Niche Kuch Steps Likhe hai Unko Follow karke Aap Linkedin Par Account bana sakte hai.

Step 1:-Sabse Pahle Aap Www.Linkedin.com Par Jaaye.

Step 2:-Ab Apke Samne jo Page Open Hokar Aaya hai Usme Apko Detailes Fill karni Hogi.

(i)First Name
(ii)Last Name
(iii)Email Id
(iv)Password

Ab Join Now par Click karey.



Linkedin par Account kaise Banate hai Puri jankari hindi me
Linkedin par Account kaise Banate hai Puri jankari hindi me



Step 3:-Ab Aap Country me Apni "Country" Choose karey.Aur Postal Code me Apne Area ka Pin Code Enter karey.Uske Baad "Next" par Click karey.

Step 4:-Ab Agar Aap Student hai to "Yes" par Click karey,Agar Student nahi hai to "No" par Click karey,Ab"Job designation" Aur "Company" ko Fill karey.Aur Ab"Next" par Click karey.

Step 5:-Ab Apna Purpose Choose karey ki Aapne Linkedin Account kis Vajah se Banaya hai.

Step 6:-Ab Apko Apna Email Id Verify karna Hoga,Linkedin Team ne Apki Email Id par Ek Mail bheja hai Ush par Click karke Aapko Apna Email Id Verify karna Hogaya

Aur Ab Apka Linkedin Account Ready hai,Ab Agar Aap Chahte ho to Kuch Connections Add kar sakte ho(Jish tarah Fb par Friends Hote hai Ushi tarah Linkedin par Vo Connection ke Name se hota hai),Iske Baad Aap Edit Profile par Click karke Apni Profile ko Complete kar Sakte ho.

Dosto Aaj ke Article me Maine Apko Bataya ki Linkedin par Business Account kaise banate hai(How to create Business Account on Linkedin) , Ummid hain dosto Aap Sabhi ko Aaj ka ye Article Achha laga hoga ,Agar Apko Ish Trick jo Use Karne Me koi Problem Aa Rahi Hai to Aap Niche Comment Karey Main Apki Problem Solve karne ki Full Koshish karunga Agar Apko Yeh Article Achha Laga ho to Isko Apne Dosto ke Bhi Sath Facebook,Twitter,Linkedin etc. Social Site par Bhi Share Karey.

Tags:-Linkedin kya hai,linkedin ke kya phayde hai,Linkedin par Professional Account kaise Banaye,Linkedin par Job Profile kaise Banaye,Linkedin par Business Account kaise banaye

Previous Post
Next Post

post written by: